ai dard-e-ishq tujh se mukarne laga hoon main
mujh ko sambhaal had se guzarne laga hoon main
pehle haqeeqaton hi se matlab tha aur ab
ek aadh baat farz bhi karne laga hoon main
har aan tootte ye aqeedon ke silsile
lagta hai jaise aaj bikharna laga hoon main
ai chashm-e-yaar mera sudharna muhaal tha
tera kamaal hai ki sudharne laga hoon main
ye mehr-o-maah arz-o-sama mujh mein kho gaye
ik kaayenaat ban ke ubharne laga hoon main
itnon ka pyaar mujh se sambhaala na jaayega
logo tumhaare pyaar se darne laga hoon main
dilli kahaan gaeein tire koochon ki raunqen
galiyon se sar jhuka ke guzarne laga hoon main
ऐ दर्द-ए-इश्क़ तुझ से मुकरने लगा हूँ मैं
मुझ को संभाल हद से गुज़रने लगा हूँ मैं
पहले हक़ीक़तों ही से मतलब था और अब
एक आध बात फ़र्ज़ भी करने लगा हूँ मैं
हर आन टूटते ये अक़ीदों के सिलसिले
लगता है जैसे आज बिखरने लगा हूँ मैं
ऐ चश्म-ए-यार मेरा सुधरना मुहाल था
तेरा कमाल है कि सुधरने लगा हूँ मैं
ये मेहर-ओ-माह अर्ज़-ओ-समा मुझ में खो गए
इक काएनात बन के उभरने लगा हूँ मैं
इतनों का प्यार मुझ से सँभाला न जाएगा
लोगो तुम्हारे प्यार से डरने लगा हूँ मैं
दिल्ली कहाँ गईं तिरे कूचों की रौनक़ें
गलियों से सर झुका के गुज़रने लगा हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Baaten Shayari Shayari