log kahte hain ki tu ab bhi khafa hai mujh se | लोग कहते हैं कि तू अब भी ख़फ़ा है मुझ से

  - Jaan Nisar Akhtar

log kahte hain ki tu ab bhi khafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se

haaye us waqt ko kosoon ki dua doon yaaro
jis ne har dard mera cheen liya hai mujh se

dil ka ye haal ki dhadhke hi chala jaata hai
aisa lagta hai koi jurm hua hai mujh se

kho gaya aaj kahaan rizq ka dene waala
koi roti jo khada maang raha hai mujh se

ab mere qatl ki tadbeer to karne hogi
kaun sa raaz hai tera jo chhupa hai mujh se

लोग कहते हैं कि तू अब भी ख़फ़ा है मुझ से
तेरी आँखों ने तो कुछ और कहा है मुझ से

हाए उस वक़्त को कोसूँ कि दुआ दूँ यारो
जिस ने हर दर्द मिरा छीन लिया है मुझ से

दिल का ये हाल कि धड़के ही चला जाता है
ऐसा लगता है कोई जुर्म हुआ है मुझ से

खो गया आज कहाँ रिज़्क़ का देने वाला
कोई रोटी जो खड़ा माँग रहा है मुझ से

अब मिरे क़त्ल की तदबीर तो करनी होगी
कौन सा राज़ है तेरा जो छुपा है मुझ से

  - Jaan Nisar Akhtar

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari