mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sehr lagti hai | मौज-ए-गुल मौज-ए-सबा मौज-ए-सहर लगती है - Jaan Nisar Akhtar

mauj-e-gul mauj-e-saba mauj-e-sehr lagti hai
sar se pa tak vo samaan hai ki nazar lagti hai

ham ne har gaam pe sajdon ke jalaae hain charaagh
ab hamein teri gali raahguzar lagti hai

lamhe lamhe mein basi hai tiri yaadon ki mahak
aaj ki raat to khushboo ka safar lagti hai

jal gaya apna nasheeman to koi baat nahin
dekhna ye hai ki ab aag kidhar lagti hai

saari duniya mein ghareebon ka lahu bahta hai
har zameen mujh ko mere khoon se tar lagti hai

koi aasooda nahin ahl-e-siyaasat ke siva
ye sadi dushman-e-arbaab-e-hunar lagti hai

waqia shehar mein kal to koi aisa na hua
ye to akhbaar ke daftar ki khabar lagti hai

lucknow kya tiri galiyon ka muqaddar tha yahi
har gali aaj tiri khaak-basar lagti hai

मौज-ए-गुल मौज-ए-सबा मौज-ए-सहर लगती है
सर से पा तक वो समाँ है कि नज़र लगती है

हम ने हर गाम पे सज्दों के जलाए हैं चराग़
अब हमें तेरी गली राहगुज़र लगती है

लम्हे लम्हे में बसी है तिरी यादों की महक
आज की रात तो ख़ुशबू का सफ़र लगती है

जल गया अपना नशेमन तो कोई बात नहीं
देखना ये है कि अब आग किधर लगती है

सारी दुनिया में ग़रीबों का लहू बहता है
हर ज़मीं मुझ को मिरे ख़ून से तर लगती है

कोई आसूदा नहीं अहल-ए-सियासत के सिवा
ये सदी दुश्मन-ए-अरबाब-ए-हुनर लगती है

वाक़िआ शहर में कल तो कोई ऐसा न हुआ
ये तो अख़बार के दफ़्तर की ख़बर लगती है

लखनऊ क्या तिरी गलियों का मुक़द्दर था यही
हर गली आज तिरी ख़ाक-बसर लगती है

- Jaan Nisar Akhtar
2 Likes

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari