may-kashi ab meri aadat ke siva kuchh bhi nahin | मय-कशी अब मिरी आदत के सिवा कुछ भी नहीं

  - Jaan Nisar Akhtar

may-kashi ab meri aadat ke siva kuchh bhi nahin
ye bhi ik talkh haqeeqat ke siva kuchh bhi nahin

fitna-e-aql ke juyaa meri duniya se guzar
meri duniya mein mohabbat ke siva kuchh bhi nahin

dil mein vo shorish-e-jazbaat kahaan tere baghair
ek khaamosh qayamat ke siva kuchh bhi nahin

mujh ko khud apni jawaani ki qasam hai ki ye ishq
ik jawaani ki sharaarat ke siva kuchh bhi nahin

मय-कशी अब मिरी आदत के सिवा कुछ भी नहीं
ये भी इक तल्ख़ हक़ीक़त के सिवा कुछ भी नहीं

फ़ित्ना-ए-अक़्ल के जूया मिरी दुनिया से गुज़र
मेरी दुनिया में मोहब्बत के सिवा कुछ भी नहीं

दिल में वो शोरिश-ए-जज़्बात कहाँ तेरे बग़ैर
एक ख़ामोश क़यामत के सिवा कुछ भी नहीं

मुझ को ख़ुद अपनी जवानी की क़सम है कि ये इश्क़
इक जवानी की शरारत के सिवा कुछ भी नहीं

  - Jaan Nisar Akhtar

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari