tuloo-e-subh hai nazrein utha ke dekh zara | तुलू-ए-सुब्ह है नज़रें उठा के देख ज़रा

  - Jaan Nisar Akhtar

tuloo-e-subh hai nazrein utha ke dekh zara
shikast-e-zulmat-e-shab muskuraa ke dekh zara

gham-e-bahaar o gham-e-yaar hi nahin sab kuchh
gham-e-jahaan se bhi dil ko laga ke dekh zara

bahaar kaun si sougaat le ke aayi hai
hamaare zakhm-e-tamanna tu aa ke dekh zara

har ek samt se ik aftaab ubharega
charaagh-e-dair-o-haram to bujha ke dekh zara

vajood-e-ishq ki taarikh ka pata to chale
varq ult ke tu arz o samaa ke dekh zara

mile to tu hi mile aur kuchh qubool nahin
jahaan mein hausale ahl-e-wafa ke dekh zara

tiri nazar se hai rishta mere girebaan ka
kidhar hai meri taraf muskuraa ke dekh zara

तुलू-ए-सुब्ह है नज़रें उठा के देख ज़रा
शिकस्त-ए-ज़ुल्मत-ए-शब मुस्कुरा के देख ज़रा

ग़म-ए-बहार ओ ग़म-ए-यार ही नहीं सब कुछ
ग़म-ए-जहाँ से भी दिल को लगा के देख ज़रा

बहार कौन सी सौग़ात ले के आई है
हमारे ज़ख़्म-ए-तमन्ना तू आ के देख ज़रा

हर एक सम्त से इक आफ़्ताब उभरेगा
चराग़-ए-दैर-ओ-हरम तो बुझा के देख ज़रा

वजूद-ए-इश्क़ की तारीख़ का पता तो चले
वरक़ उलट के तू अर्ज़ ओ समा के देख ज़रा

मिले तो तू ही मिले और कुछ क़ुबूल नहीं
जहाँ में हौसले अहल-ए-वफ़ा के देख ज़रा

तिरी नज़र से है रिश्ता मिरे गिरेबाँ का
किधर है मेरी तरफ़ मुस्कुरा के देख ज़रा

  - Jaan Nisar Akhtar

Nazar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Nazar Shayari Shayari