subh ke dard ko raaton ki jalan ko bhoolen
kis ke ghar jaayen ki is waada-shikan ko bhoolen
aaj tak chot dabaye nahin dabti dil ki
kis tarah us sanam-e-sang-badan ko bhoolen
ab siva is ke mudaava-e-gham-e-dil kya hai
itni pee jaayen ki har ranj-o-mehan ko bhoolen
aur tahzeeb-e-gham-e-ishq nibha den kuchh din
aakhiri waqt mein kya apne chalan ko bhoolen
सुब्ह के दर्द को रातों की जलन को भूलें
किस के घर जाएँ कि इस वादा-शिकन को भूलें
आज तक चोट दबाए नहीं दबती दिल की
किस तरह उस सनम-ए-संग-बदन को भूलें
अब सिवा इस के मुदावा-ए-ग़म-ए-दिल क्या है
इतनी पी जाएँ कि हर रंज-ओ-मेहन को भूलें
और तहज़ीब-ए-ग़म-ए-इश्क़ निभा दें कुछ दिन
आख़िरी वक़्त में क्या अपने चलन को भूलें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Dil Shayari Shayari