ashaar mere yun to zamaane ke liye hain | अशआ'र मिरे यूँ तो ज़माने के लिए हैं

  - Jaan Nisar Akhtar

ashaar mere yun to zamaane ke liye hain
kuchh sher faqat un ko sunaane ke liye hain

ab ye bhi nahin theek ki har dard mita den
kuchh dard kaleje se lagaane ke liye hain

socho to badi cheez hai tahzeeb badan ki
warna ye faqat aag bujhaane ke liye hain

aankhon mein jo bhar loge to kaanton se mazboori
ye khwaab to palkon pe sajaane ke liye hain

dekhoon tire haathon ko to lagta hai tire haath
mandir mein faqat deep jalane ke liye hain

ye ilm ka sauda ye risaale ye kitaaben
ik shakhs ki yaadon ko bhulaane ke liye hain

अशआ'र मिरे यूँ तो ज़माने के लिए हैं
कुछ शेर फ़क़त उन को सुनाने के लिए हैं

अब ये भी नहीं ठीक कि हर दर्द मिटा दें
कुछ दर्द कलेजे से लगाने के लिए हैं

सोचो तो बड़ी चीज़ है तहज़ीब बदन की
वर्ना ये फ़क़त आग बुझाने के लिए हैं

आँखों में जो भर लोगे तो काँटों से चुभेंगे
ये ख़्वाब तो पलकों पे सजाने के लिए हैं

देखूँ तिरे हाथों को तो लगता है तिरे हाथ
मंदिर में फ़क़त दीप जलाने के लिए हैं

ये इल्म का सौदा ये रिसाले ये किताबें
इक शख़्स की यादों को भुलाने के लिए हैं

  - Jaan Nisar Akhtar

Kamar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Kamar Shayari Shayari