jab lagen zakham to qaateel ko dua di jaaye | जब लगें ज़ख़्म तो क़ातिल को दुआ दी जाए - Jaan Nisar Akhtar

jab lagen zakham to qaateel ko dua di jaaye
hai yahi rasm to ye rasm utha di jaaye

dil ka vo haal hua hai gham-e-dauraan ke tale
jaise ik laash chataanon mein daba di jaaye

inheen gul-rang dareechon se sehar jhaankegi
kyun na khilte hue zakhamon ko dua di jaaye

kam nahin nashshe mein jaade ki gulaabi raatein
aur agar teri jawaani bhi mila di jaaye

hum se poocho ki ghazal kya hai ghazal ka fan kya
chand lafzon mein koi aag chhupa di jaaye

जब लगें ज़ख़्म तो क़ातिल को दुआ दी जाए
है यही रस्म तो ये रस्म उठा दी जाए

दिल का वो हाल हुआ है ग़म-ए-दौराँ के तले
जैसे इक लाश चटानों में दबा दी जाए

इन्हीं गुल-रंग दरीचों से सहर झाँकेगी
क्यूँ न खिलते हुए ज़ख़्मों को दुआ दी जाए

कम नहीं नश्शे में जाड़े की गुलाबी रातें
और अगर तेरी जवानी भी मिला दी जाए

हम से पूछो कि ग़ज़ल क्या है ग़ज़ल का फ़न क्या
चंद लफ़्ज़ों में कोई आग छुपा दी जाए

- Jaan Nisar Akhtar
2 Likes

Aanch Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Aanch Shayari Shayari