zameen hogi kisi qaateel ka daamaan ham na kahte the
akaarat jaayega khun-e-shaheedaan ham na kahte the
ilaaj-e-chaak-e-pairaahan hua to is tarah hoga
siya jaayega kaanton se garebaan ham na kahte the
taraane kuchh diye lafzon mein khud ko qaid kar lenge
ajab andaaz se failega zindaan ham na kahte the
koi itna na hoga laash bhi le ja ke dafna de
inheen sadkon pe mar jaayega insaan ham na kahte the
nazar lipti hai sholon mein lahu tapta hai aankhon mein
utha hi chahta hai koi toofaan ham na kahte the
chhalakte jaam mein bheegi hui aankhen utar aayein
sataayegi kisi din yaad-e-yaaraan ham na kahte the
nayi tahzeeb kaise lucknow ko raas aayegi
ujad jaayega ye sheher-e-ghazaalaan ham na kahte the
ज़मीं होगी किसी क़ातिल का दामाँ हम न कहते थे
अकारत जाएगा ख़ून-ए-शहीदाँ हम न कहते थे
इलाज-ए-चाक-ए-पैराहन हुआ तो इस तरह होगा
सिया जाएगा काँटों से गरेबाँ हम न कहते थे
तराने कुछ दिए लफ़्ज़ों में ख़ुद को क़ैद कर लेंगे
अजब अंदाज़ से फैलेगा ज़िंदाँ हम न कहते थे
कोई इतना न होगा लाश भी ले जा के दफ़ना दे
इन्हीं सड़कों पे मर जाएगा इंसाँ हम न कहते थे
नज़र लिपटी है शोलों में लहू तपता है आँखों में
उठा ही चाहता है कोई तूफ़ाँ हम न कहते थे
छलकते जाम में भीगी हुई आँखें उतर आईं
सताएगी किसी दिन याद-ए-याराँ हम न कहते थे
नई तहज़ीब कैसे लखनऊ को रास आएगी
उजड़ जाएगा ये शहर-ए-ग़ज़ालाँ हम न कहते थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Adaa Shayari Shayari