chaunk chaunk uthati hai mahlon ki fazaa raat gaye
kaun deta hai ye galiyon mein sada raat gaye
ye haqaaiq ki chataanon se taraashi duniya
odh leti hai tilismon ki rida raat gaye
chubh ke rah jaati hai seene mein badan ki khushboo
khol deta hai koi band-e-qaba raat gaye
aao ham jism ki shamon se ujaala kar len
chaand nikla bhi to niklega zara raat gaye
tu na ab aaye to kya aaj talak aati hai
seedhiyon se tire qadmon ki sada raat gaye
चौंक चौंक उठती है महलों की फ़ज़ा रात गए
कौन देता है ये गलियों में सदा रात गए
ये हक़ाएक़ की चटानों से तराशी दुनिया
ओढ़ लेती है तिलिस्मों की रिदा रात गए
चुभ के रह जाती है सीने में बदन की ख़ुश्बू
खोल देता है कोई बंद-ए-क़बा रात गए
आओ हम जिस्म की शम्ओं से उजाला कर लें
चाँद निकला भी तो निकलेगा ज़रा रात गए
तू न अब आए तो क्या आज तलक आती है
सीढ़ियों से तिरे क़दमों की सदा रात गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Neend Shayari Shayari