achha hai un se koi taqaza kiya na jaaye | अच्छा है उन से कोई तक़ाज़ा किया न जाए - Jaan Nisar Akhtar

achha hai un se koi taqaza kiya na jaaye
apni nazar mein aap ko rusva kiya na jaaye

hum hain tira khayal hai tera jamaal hai
ik pal bhi apne aap ko tanhaa kiya na jaaye

uthne ko uth to jaayen tiri anjuman se hum
par teri anjuman ko bhi soona kiya na jaaye

un ki ravish juda hai hamaari ravish juda
hum se to baat baat pe jhagda kiya na jaaye

har-chand e'tibaar mein dhoke bhi hain magar
ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jaaye

lahja bana ke baat karein un ke saamne
hum se to is tarah ka tamasha kiya na jaaye

ina'am ho khitaab ho vaise mile kahaan
jab tak sifaarishon ko ikattha kiya na jaaye

is waqt hum se pooch na gham rozgaar ke
hum se har ek ghoont ko karwa kiya na jaaye

अच्छा है उन से कोई तक़ाज़ा किया न जाए
अपनी नज़र में आप को रुस्वा किया न जाए

हम हैं तिरा ख़याल है तेरा जमाल है
इक पल भी अपने आप को तन्हा किया न जाए

उठने को उठ तो जाएँ तिरी अंजुमन से हम
पर तेरी अंजुमन को भी सूना किया न जाए

उन की रविश जुदा है हमारी रविश जुदा
हम से तो बात बात पे झगड़ा किया न जाए

हर-चंद ए'तिबार में धोके भी हैं मगर
ये तो नहीं किसी पे भरोसा किया न जाए

लहजा बना के बात करें उन के सामने
हम से तो इस तरह का तमाशा किया न जाए

इनआ'म हो ख़िताब हो वैसे मिले कहाँ
जब तक सिफ़ारिशों को इकट्ठा किया न जाए

इस वक़्त हम से पूछ न ग़म रोज़गार के
हम से हर एक घूँट को कड़वा किया न जाए

- Jaan Nisar Akhtar
0 Likes

Bharosa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaan Nisar Akhtar

As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar

Similar Moods

As you were reading Bharosa Shayari Shayari