zulfen seena naaf kamar
ek nadi mein kitne bhanwar
sadiyon sadiyon mera safar
manzil manzil raahguzar
kitna mushkil kitna kathin
jeene se jeene ka hunar
gaav mein aa kar shehar base
gaav bichaare jaayen kidhar
phoonkne waale socha bhi
failegi ye aag kidhar
laakh tarah se naam tira
baitha likkhoon kaaghaz par
chhote chhote zehan ke log
ham se un ki baat na kar
pet pe patthar baandh na le
haath mein sajte hain patthar
raat ke peeche raat chale
khwaab hua har khwaab-e-seher
shab bhar to aawaara phire
laut chalen ab apne ghar
ज़ुल्फ़ें सीना नाफ़ कमर
एक नदी में कितने भँवर
सदियों सदियों मेरा सफ़र
मंज़िल मंज़िल राहगुज़र
कितना मुश्किल कितना कठिन
जीने से जीने का हुनर
गाँव में आ कर शहर बसे
गाँव बिचारे जाएँ किधर
फूँकने वाले सोचा भी
फैलेगी ये आग किधर
लाख तरह से नाम तिरा
बैठा लिक्खूँ काग़ज़ पर
छोटे छोटे ज़ेहन के लोग
हम से उन की बात न कर
पेट पे पत्थर बाँध न ले
हाथ में सजते हैं पत्थर
रात के पीछे रात चले
ख़्वाब हुआ हर ख़्वाब-ए-सहर
शब भर तो आवारा फिरे
लौट चलें अब अपने घर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Dariya Shayari Shayari