vo log hi har daur mein mehboob rahe hain
jo ishq mein taalib nahin matlab rahe hain
toofaan ki awaaz to aati nahin lekin
lagta hai safeene se kahi doob rahe hain
un ko na pukaaro gham-e-dauraan ke laqab se
jo dard kisi naam se mansoob rahe hain
ham bhi tiri soorat ke parastaar hain lekin
kuchh aur bhi chehre hamein marghoob rahe hain
alfaaz mein izhaar-e-mohabbat ke tariqe
khud ishq ki nazaron mein bhi maayub rahe hain
is ahad-e-baseerat mein bhi naqqaad hamaare
har ek bade naam se mar'oub rahe hain
itna bhi na ghabraao nayi tarz-e-ada se
har daur mein badle hue usloob rahe hain
वो लोग ही हर दौर में महबूब रहे हैं
जो इश्क़ में तालिब नहीं मतलूब रहे हैं
तूफ़ान की आवाज़ तो आती नहीं लेकिन
लगता है सफ़ीने से कहीं डूब रहे हैं
उन को न पुकारो ग़म-ए-दौराँ के लक़ब से
जो दर्द किसी नाम से मंसूब रहे हैं
हम भी तिरी सूरत के परस्तार हैं लेकिन
कुछ और भी चेहरे हमें मर्ग़ूब रहे हैं
अल्फ़ाज़ में इज़हार-ए-मोहब्बत के तरीक़े
ख़ुद इश्क़ की नज़रों में भी मायूब रहे हैं
इस अहद-ए-बसीरत में भी नक़्क़ाद हमारे
हर एक बड़े नाम से मरऊब रहे हैं
इतना भी न घबराओ नई तर्ज़-ए-अदा से
हर दौर में बदले हुए उस्लूब रहे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaan Nisar Akhtar
our suggestion based on Jaan Nisar Akhtar
As you were reading Ulfat Shayari Shayari