garebaan ko junoon mein ta-b-daman chaak hona tha | गरेबाँ को जुनूँ में ता-ब-दामन चाक होना था

  - Jalal Lakhnavi

garebaan ko junoon mein ta-b-daman chaak hona tha
jawaab-e-jaada-e-sehra-e-vahshat-naak hona tha

taghaaful ke gile sun kar jhuka leen tum ne kyun aankhen
mere sharminda karne ko zara bebaak hona tha

nigah-e-garm ki bijli se jalna tha muqaddar mein
kisi ko aag hona tha kisi ko khaak hona tha

jo aankhen poochhtiin us ki to dil mera bata deta
yahan sharma ke jhukna tha yahan bebaak hona tha

tadap dil ki dikhaana tha jalaal un shokh-chashmon ko
wahin ki bakht ne susti jahaan chaalaak hona tha

गरेबाँ को जुनूँ में ता-ब-दामन चाक होना था
जवाब-ए-जादा-ए-सहरा-ए-वहशत-नाक होना था

तग़ाफ़ुल के गिले सुन कर झुका लीं तुम ने क्यों आँखें
मिरे शर्मिंदा करने को ज़रा बेबाक होना था

निगाह-ए-गर्म की बिजली से जलना था मुक़द्दर में
किसी को आग होना था किसी को ख़ाक होना था

जो आँखें पूछतीं उस की तो दिल मेरा बता देता
यहाँ शर्मा के झुकना था यहाँ बेबाक होना था

तड़प दिल की दिखाना था 'जलाल' उन शोख़-चश्मों को
वहीं की बख़्त ने सुस्ती जहाँ चालाक होना था

  - Jalal Lakhnavi

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jalal Lakhnavi

As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi

Similar Writers

our suggestion based on Jalal Lakhnavi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari