shab-e-wa'ada hai tu hai aur main hoon
hujoom-e-aarzoo hai aur main hoon
dil-e-begaana-khoo hai aur main hoon
baghal mein ik adoo hai aur main hoon
mitaata hi raha jis ko muqaddar
vo meri aarzoo hai aur main hoon
pareshaan-khaatiri kahti hai apni
kisi ki justuju hai aur main hoon
shab-e-tanhaai-e-furqat mein dil se
kuchh us ki guftugoo hai aur main hoon
gulistaan-e-jahaan hai qaabil-e-sair
tilism-e-rang-o-boo hai aur main hoon
nigaah-e-lutf-e-dilbar ka hai izhaar
fate dil ka rafu hai aur main hoon
kahi chhodaa agar qaateel ka daaman
tu phir mera lahu hai aur main hoon
jalaal us ko banaya us ne dushman
qayamat mein adoo hai aur main hoon
शब-ए-व'अदा है तू है और मैं हूँ
हुजूम-ए-आरज़ू है और मैं हूँ
दिल-ए-बेगाना-ख़ू है और मैं हूँ
बग़ल में इक अदू है और मैं हूँ
मिटाता ही रहा जिस को मुक़द्दर
वो मेरी आरज़ू है और मैं हूँ
परेशाँ-ख़ातिरी कहती है अपनी
किसी की जुस्तुजू है और मैं हूँ
शब-ए-तन्हाई-ए-फ़ुर्क़त में दिल से
कुछ उस की गुफ़्तुगू है और मैं हूँ
गुलिस्तान-ए-जहाँ है क़ाबिल-ए-सैर
तिलिस्म-ए-रंग-ओ-बू है और मैं हूँ
निगाह-ए-लुत्फ़-ए-दिलबर का है इज़हार
फटे दिल का रफ़ू है और मैं हूँ
कहीं छोड़ा अगर क़ातिल का दामन
तू फिर मेरा लहू है और मैं हूँ
'जलाल' उस को बनाया उस ने दुश्मन
क़यामत में अदू है और मैं हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jalal Lakhnavi
our suggestion based on Jalal Lakhnavi
As you were reading Dua Shayari Shayari