juda juda sab ke khwaab taabeer ek jaisi | जुदा जुदा सब के ख़्वाब ताबीर एक जैसी

  - Jaleel 'Aali'

juda juda sab ke khwaab taabeer ek jaisi
hamein azal se mili hai taqdeer ek jaisi

har ik kitaab-e-amal ke unwaan apne apne
varq varq par qaza ki tahreer ek jaisi

guzarte lamhon se naqsh kya apne apne poochen
in aainon mein har ek tasveer ek jaisi

tiri shararbaariyon meri khaaksaariyon ki
hawa kabhi to karegi tashheer ek jaisi

ye tay hua ek baar sab aazma ke dekhen
najaat-e-qalb-o-nazar ki tadbeer ek jaisi

dilon ke zamzam se dhul ke nikli hui sadaaein
sama'aton mein jagaayein taaseer ek jaisi

जुदा जुदा सब के ख़्वाब ताबीर एक जैसी
हमें अज़ल से मिली है तक़दीर एक जैसी

हर इक किताब-ए-अमल के उनवान अपने अपने
वरक़ वरक़ पर क़ज़ा की तहरीर एक जैसी

गुज़रते लम्हों से नक़्श क्या अपने अपने पूछें
इन आइनों में हर एक तस्वीर एक जैसी

तिरी शररबारियों मिरी ख़ाकसारियों की
हवा कभी तो करेगी तश्हीर एक जैसी

ये तय हुआ एक बार सब आज़मा के देखें
नजात-ए-क़ल्ब-ओ-नज़र की तदबीर एक जैसी

दिलों के ज़मज़म से धुल के निकली हुई सदाएँ
समाअतों में जगाएँ तासीर एक जैसी

  - Jaleel 'Aali'

Khushboo Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Khushboo Shayari Shayari