berg bhar baar mohabbat ka uthaya kab tha
tum ne seene mein koi dard basaaya kab tha
ab jo khud se bhi juda ho ke firo ho ban mein
tum ne basti mein koi dost banaya kab tha
naqd-e-ehsaas ki insaan ka bharam hota hai
ham ne khoya hai kahaan aap ne paaya kab tha
shehar ka shehar umad aaya hai dil-jooi ko
dushmanon ne bhi tiri tarah sataaya kab tha
saee-e-sehra-e-wafa sair-e-gulistaan kab thi
dhoop hi dhoop thi har-soo koi saaya kab tha
aks kya kya the nigaahon mein firozaan aali
par ye andaaz-e-nazar waqt ko bhaaya kab tha
बर्ग भर बार मोहब्बत का उठाया कब था
तुम ने सीने में कोई दर्द बसाया कब था
अब जो ख़ुद से भी जुदा हो के फिरो हो बन में
तुम ने बस्ती में कोई दोस्त बनाया कब था
नक़्द-ए-एहसास कि इंसाँ का भरम होता है
हम ने खोया है कहाँ आप ने पाया कब था
शहर का शहर उमड आया है दिल-जूई को
दुश्मनों ने भी तिरी तरह सताया कब था
सई-ए-सहरा-ए-वफ़ा सैर-ए-गुलिस्ताँ कब थी
धूप ही धूप थी हर-सू कोई साया कब था
अक्स क्या क्या थे निगाहों में फ़िरोज़ाँ 'आली'
पर ये अंदाज़-ए-नज़र वक़्त को भाया कब था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Waqt Shayari Shayari