ajab asbaab karta ja raha hoon | अजब अस्बाब करता जा रहा हूँ

  - Jaleel 'Aali'

ajab asbaab karta ja raha hoon
lahu seemaab karta ja raha hoon

main apni mauj mein ik raqs-e-deegar
sar-e-girdaab karta ja raha hoon

azal se jaagti aankhon jahaan mein
basar ik khwaab karta ja raha hoon

sar-e-mizgaan ubharta hai jo taara
use mahtaab karta ja raha hoon

jo dil ik umr se banjar pade the
unhen sairaab karta ja raha hoon

main raah-e-shauq ki har kankari ko
dur-e-naayaab karta ja raha hoon

vo ejaz-e-sukhan baksha hai us ne
chataanen aab karta ja raha hoon

अजब अस्बाब करता जा रहा हूँ
लहू सीमाब करता जा रहा हूँ

मैं अपनी मौज में इक रक़्स-ए-दीगर
सर-ए-गिर्दाब करता जा रहा हूँ

अज़ल से जागती आँखों जहाँ में
बसर इक ख़्वाब करता जा रहा हूँ

सर-ए-मिज़्गाँ उभरता है जो तारा
उसे महताब करता जा रहा हूँ

जो दिल इक उम्र से बंजर पड़े थे
उन्हें सैराब करता जा रहा हूँ

मैं राह-ए-शौक़ की हर कंकरी को
दुर-ए-नायाब करता जा रहा हूँ

वो एजाज़-ए-सुख़न बख़्शा है उस ने
चटानें आब करता जा रहा हूँ

  - Jaleel 'Aali'

Azal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Azal Shayari Shayari