the nigaahon mein jin raaston ke shajar aur the
dil-musaafir ko dar-pesh the jo safar aur the
bas raha tha meri soch ke aasmaanon pe jo
aur hi shehar tha us ke sab baam-o-dar aur the
vo jo chehron pe likkha hua khauf tha aur tha
vo jo sapnon ke andar panpate the dar aur the
sab jabeenen wahan theen zameen-bosiyon mein magan
kat ke kuchh aur oopar uthe the jo sar aur the
shauq tugyaaniyon mein bhi sambhaale raheen dhadkanein
doob kar jin mein ubhara na dil vo bhanwar aur the
un zamaanon bhi apne qalam ki zabaan thi yahi
lafz jab shehr-e-tahreer mein mo'tabar aur the
थे निगाहों में जिन रास्तों के शजर और थे
दिल-मुसाफ़िर को दर-पेश थे जो सफ़र और थे
बस रहा था मिरी सोच के आसमानों पे जो
और ही शहर था उस के सब बाम-ओ-दर और थे
वो जो चेहरों पे लिक्खा हुआ ख़ौफ़ था और था
वो जो सपनों के अंदर पनपते थे डर और थे
सब जबीनें वहाँ थीं ज़मीं-बोसियों में मगन
कट के कुछ और ऊपर उठे थे जो सर और थे
शौक़ तुग़्यानियों में भी सँभाले रहीं धड़कनें
डूब कर जिन में उभरा न दिल वो भँवर और थे
उन ज़मानों भी अपने क़लम की ज़बाँ थी यही
लफ़्ज़ जब शहर-ए-तहरीर में मो'तबर और थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Shehar Shayari Shayari