jab bhi mausam-e-hunar harf o bayaan le jaaye | जब भी मौसम-ए-हुनर हर्फ़ ओ बयाँ ले जाए

  - Jaleel 'Aali'

jab bhi mausam-e-hunar harf o bayaan le jaaye
yun lage jism se jaise koi jaan le jaaye

ham ki hain naqsh sar-e-reg-e-ravaan kya jaane
kab koi mauj-e-hawa apna nishaan le jaaye

ek aazaadi ki zindaani-e-khwaahish kar de
ik aseeri ki karaan-ta-b-karaan le jaaye

vahshat-e-shauq muqaddar thi so bachte kab tak
ab to ye sail-e-bala-khez jahaan le jaaye

ek parchhaaien ke peeche hain azal se aali
ye ta'aqub hamein kya jaane kahaan le jaaye

जब भी मौसम-ए-हुनर हर्फ़ ओ बयाँ ले जाए
यूँ लगे जिस्म से जैसे कोई जाँ ले जाए

हम कि हैं नक़्श सर-ए-रेग-ए-रवाँ क्या जाने
कब कोई मौज-ए-हवा अपना निशाँ ले जाए

एक आज़ादी कि ज़िंदानी-ए-ख़्वाहिश कर दे
इक असीरी कि कराँ-ता-ब-कराँ ले जाए

वहशत-ए-शौक़ मुक़द्दर थी सो बचते कब तक
अब तो ये सैल-ए-बला-ख़ेज़ जहाँ ले जाए

एक परछाईं के पीछे हैं अज़ल से 'आली'
ये तआक़ुब हमें क्या जाने कहाँ ले जाए

  - Jaleel 'Aali'

Duniya Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Duniya Shayari Shayari