masafaten kab gumaan mein theen safar se aage | मसाफ़तें कब गुमान में थीं सफ़र से आगे

  - Jaleel 'Aali'

masafaten kab gumaan mein theen safar se aage
nikal gaye apni dhun mein us ke nagar se aage

shajar se ik umr ki rifaqat ke silsile hain
nigaah ab dekhti hai berg o samar se aage

ye dil shab o roz us ki galiyon mein ghoomta hai
vo shehar jo bas raha hai dasht-e-nazar se aage

khajil khayaalon ki bheed hairat se tak rahi hai
guzar gaya rah-rav-e-tamanna kidhar se aage

tilism-e-aks-o-sada se nikle to dil ne jaana
ye harf kuchh kah rahe hain arz-e-hunar se aage

nisaar un saaton pe sadiyon ke sehar aali
jiye hain jin ke jilo mein shaam o sehar se aage

मसाफ़तें कब गुमान में थीं सफ़र से आगे
निकल गए अपनी धुन में उस के नगर से आगे

शजर से इक उम्र की रिफ़ाक़त के सिलसिले हैं
निगाह अब देखती है बर्ग ओ समर से आगे

ये दिल शब ओ रोज़ उस की गलियों में घूमता है
वो शहर जो बस रहा है दश्त-ए-नज़र से आगे

ख़जिल ख़यालों की भीड़ हैरत से तक रही है
गुज़र गया रह-रव-ए-तमन्ना किधर से आगे

तिलिस्म-ए-अक्स-ओ-सदा से निकले तो दिल ने जाना
ये हर्फ़ कुछ कह रहे हैं अर्ज़-ए-हुनर से आगे

निसार उन साअतों पे सदियों के सहर 'आली'
जिए हैं जिन के जिलो में शाम ओ सहर से आगे

  - Jaleel 'Aali'

Gaon Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Gaon Shayari Shayari