ghuroor-e-koh ke hote niyaaz-e-kaah rakhte hain | ग़ुरूर-ए-कोह के होते नियाज़-ए-काह रखते हैं

  - Jaleel 'Aali'

ghuroor-e-koh ke hote niyaaz-e-kaah rakhte hain
tire ham-raah rahne ko qadam kotaah rakhte hain

andheron mein bhi gum hoti nahin samt-e-safar apni
nigaahon mein firozaan ik shabeeh-e-maah rakhte hain

ye duniya kya hamein apni dagar par le ke jaayegi
ham apne saath bhi marzi ki rasm-o-raah rakhte hain

vo deewaar-e-ana ki ot kis kis aag jalta hai
dil o deeda ko sab ahvaal se aagaah rakhte hain

dar-o-bast-e-jahaan mein dekhte hain saqm kuchh aali
aur apni soch ka ik naqsha-e-islaah rakhte hain

ग़ुरूर-ए-कोह के होते नियाज़-ए-काह रखते हैं
तिरे हम-राह रहने को क़दम कोताह रखते हैं

अंधेरों में भी गुम होती नहीं सम्त-ए-सफ़र अपनी
निगाहों में फ़िरोज़ाँ इक शबीह-ए-माह रखते हैं

ये दुनिया क्या हमें अपनी डगर पर ले के जाएगी
हम अपने साथ भी मर्ज़ी की रस्म-ओ-राह रखते हैं

वो दीवार-ए-अना की ओट किस किस आग जलता है
दिल ओ दीदा को सब अहवाल से आगाह रखते हैं

दर-ओ-बसत-ए-जहाँ में देखते हैं सक़्म कुछ 'आली'
और अपनी सोच का इक नक़्शा-ए-इस्लाह रखते हैं

  - Jaleel 'Aali'

Aag Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Aag Shayari Shayari