zara si baat par said-e-ghubaar-e-yaas hona | ज़रा सी बात पर सैद-ए-ग़ुबार-ए-यास होना - Jaleel 'Aali'

zara si baat par said-e-ghubaar-e-yaas hona
hamein barbaad kar dega bahut hassaas hona

musalsal koi sargoshi humkati hai lahu mein
mayassar hi nahin hota par apne paas hona

sabhi seenon mein teri naubaton ki goonj lekin
tiri dhun ka kisi dil ki nava-e-khaas hona

hamaari shauq-raho par kabhi dekhegi duniya
tumhaare pattharon ka gauhar o almas hona

idhar bhi to use ik din uthaani hain nigaahen
hamein bhi to kabhi hone ka hai ehsaas hona

kisi mausam to apne baadbaanon par bhi aali
likhenge aashna jhonke hawa ka raas hona

ज़रा सी बात पर सैद-ए-ग़ुबार-ए-यास होना
हमें बर्बाद कर देगा बहुत हस्सास होना

मुसलसल कोई सरगोशी हुमकती है लहू में
मयस्सर ही नहीं होता पर अपने पास होना

सभी सीनों में तेरी नौबतों की गूँज लेकिन
तिरी धुन का किसी दिल की नवा-ए-ख़ास होना

हमारी शौक़-राहों पर कभी देखेगी दुनिया
तुम्हारे पत्थरों का गौहर ओ अल्मास होना

इधर भी तो उसे इक दिन उठानी हैं निगाहें
हमें भी तो कभी होने का है एहसास होना

किसी मौसम तो अपने बादबानों पर भी 'आली'
लिखेंगे आश्ना झोंके हवा का रास होना

- Jaleel 'Aali'
0 Likes

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari