aankh mein paratav-e-mehtaab salaamat rah jaaye
koi soorat ho ki ik khwaab salaamat rah jaaye
roz dahe jaaye ye haara tan o jaan ka lekin
dher mein ik dil-e-be-taab salaamat rah jaaye
vo kisi khair khazaane ki khabar deta hai
jo safeena pas-e-sailaab salaamat rah jaaye
dil kisi mauj-e-junoon mein jo lahu se likh de
aisi tahreer sar-e-aab salaamat rah jaaye
pyaar vo ped hai sau baar ukhaado dil se
phir bhi seene mein koi daab salaamat rah jaaye
laakh vo shauq-saheefon ko jala len aali
raakh mein ek na ik baab salaamat rah jaaye
आँख में परतव-ए-महताब सलामत रह जाए
कोई सूरत हो कि इक ख़्वाब सलामत रह जाए
रोज़ डहे जाए ये हारा तन ओ जाँ का लेकिन
ढेर में इक दिल-ए-बे-ताब सलामत रह जाए
वो किसी ख़ैर ख़ज़ाने की ख़बर देता है
जो सफ़ीना पस-ए-सैलाब सलामत रह जाए
दिल किसी मौज-ए-जुनूँ में जो लहू से लिख दे
ऐसी तहरीर सर-ए-आब सलामत रह जाए
प्यार वो पेड़ है सौ बार उखाड़ो दिल से
फिर भी सीने में कोई दाब सलामत रह जाए
लाख वो शौक़-सहीफ़ों को जला लें 'आली'
राख में एक न इक बाब सलामत रह जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Shajar Shayari Shayari