sulag uthi hai koi aag si hawaon mein
badal gai hain bahaarein meri khizaon mein
na aayi raas banaavat ki zindagi mujh ko
main shehar chhod ke phir aa gaya hoon gaav mein
qadam qadam pe naya ik khuda nazar aaya
na jaane kaun sa bar-haq hai in khudaaon mein
koi umeed ki baarish ka ehtimaam karo
main jal raha hoon gham-o-yaas ki chitaon mein
bahut kada hai mohabbat ke raaston ka safar
jafaa ki dhoop chhupi hai wafa ki chaanv mein
सुलग उठी है कोई आग सी हवाओं में
बदल गई हैं बहारें मिरी ख़िज़ाओं में
न आई रास बनावट की ज़िंदगी मुझ को
मैं शहर छोड़ के फिर आ गया हूँ गाँव में
क़दम क़दम पे नया इक ख़ुदा नज़र आया
न जाने कौन सा बर-हक़ है इन ख़ुदाओं में
कोई उमीद की बारिश का एहतिमाम करो
मैं जल रहा हूँ ग़म-ओ-यास की चिताओं में
बहुत कड़ा है मोहब्बत के रास्तों का सफ़र
जफ़ा की धूप छुपी है वफ़ा की छाँव में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Charagh Shayari Shayari