suboot-e-ishtiyaq-e-ham-rahi laao to aao
hisaar-e-zaat se baahar nikal paao to aao
zamaanon se faqat lahren gumaanon ki gino ho
kisi din tum ye dariya paar kar jaao to aao
had-e-khwaahish mein jeena hai to jaao raah apni
na dasht-e-shauq ki wus'at se ghabraao to aao
ajab be-ikhtiyaaraana thi har aamad tumhaari
isee mauj-e-mohabbat mein kabhi aao to aao
ye darveshon ki duniya hai karishme is ke dekho
jahaan se hi nahin khud se bhi uktaao to aao
rifaqat ahl-e-gham ki ik nashaat-e-mukhtalif hai
jo rakhte ho jigar mein dard ka ghaav to aao
hamein is hikmat-e-dauraan ka ik nukta bahut hai
agar dhun hai ult den waqt ke daao to aao
सुबूत-ए-इश्तियाक़-ए-हम-रही लाओ तो आओ
हिसार-ए-ज़ात से बाहर निकल पाओ तो आओ
ज़मानों से फ़क़त लहरें गुमानों की गिनो हो
किसी दिन तुम ये दरिया पार कर जाओ तो आओ
हद-ए-ख़्वाहिश में जीना है तो जाओ राह अपनी
न दश्त-ए-शौक़ की वुसअत से घबराओ तो आओ
अजब बे-इख़्तियाराना थी हर आमद तुम्हारी
इसी मौज-ए-मोहब्बत में कभी आओ तो आओ
ये दरवेशों की दुनिया है करिश्मे इस के देखो
जहाँ से ही नहीं ख़ुद से भी उक्ताओ तो आओ
रिफ़ाक़त अहल-ए-ग़म की इक नशात-ए-मुख़्तलिफ़ है
जो रखते हो जिगर में दर्द का घाव तो आओ
हमें इस हिकमत-ए-दौराँ का इक नुक्ता बहुत है
अगर धुन है उलट दें वक़्त के दाओ तो आओ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Zakhm Shayari Shayari