kis din b-rang-e-zakhm naya gul khila nahin
kis shab b-faiz-e-ashk charaaghaan hua nahin
ik sahm hai ki har kahi rehta hai saath saath
ik vaham hai ki aaj bhi dil se gaya nahin
ai dost raah-e-zeest mein chal ehtiyaat se
girte hue ko koi yahan thaamta nahin
go zehan se shabeeh tiri mahav ho gai
lekin tire khayal ka suraj bujha nahin
man ka tamaam zauq-e-safar ghat ke rah gaya
tan ke samundron mein kahi raasta nahin
a'li varood-e-sher mein waqfa baja magar
ab ke to ek umr hui kuchh kaha nahin
किस दिन ब-रंग-ए-ज़ख़्म नया गुल खिला नहीं
किस शब ब-फ़ैज़-ए-अश्क चराग़ाँ हुआ नहीं
इक सहम है कि हर कहीं रहता है साथ साथ
इक वहम है कि आज भी दिल से गया नहीं
ऐ दोस्त राह-ए-ज़ीस्त में चल एहतियात से
गिरते हुए को कोई यहाँ थामता नहीं
गो ज़ेहन से शबीह तिरी महव हो गई
लेकिन तिरे ख़याल का सूरज बुझा नहीं
मन का तमाम ज़ौक़-ए-सफ़र घट के रह गया
तन के समुंदरों में कहीं रास्ता नहीं
'आ'ली' वरूद-ए-शेर में वक़्फ़ा बजा मगर
अब के तो एक उम्र हुई कुछ कहा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Relationship Shayari Shayari