mod mod ghabraaya gaam gaam dahla main
jaane kin kharaabon ke raaston pe nikla main
sathe-aab kah paaye kya tahon ke afsaane
saame-e-lab-e-saahil bahar se bhi gahra main
aur kuchh taqaze ka silsila chale yaaro
pal mein kaise man jaaun muddaton ka rootha main
vo ki hai mera apna harf-e-muddaa us ko
gair ke hawaale se kis tarah samajhta main
jaane jazb ho jaaun kab fazaa ke aanchal mein
saa'aton ki aankhon se ashk ban ke dhalka main
ek roz to girtiin faaslon ki deewarein
ek roz to apne saath saath chalta main
kaun hai mera qaateel kis ka naam luun aali
apni hi wafaon ke paaniyon mein dooba main
मोड़ मोड़ घबराया गाम गाम दहला मैं
जाने किन ख़राबों के रास्तों पे निकला मैं
सत्ह-ए-आब कह पाए क्या तहों के अफ़्साने
सामे-ए-लब-ए-साहिल बहर से भी गहरा मैं
और कुछ तक़ाज़े का सिलसिला चले यारो
पल में कैसे मन जाऊँ मुद्दतों का रूठा मैं
वो कि है मिरा अपना हर्फ़-ए-मुद्दआ' उस को
ग़ैर के हवाले से किस तरह समझता मैं
जाने जज़्ब हो जाऊँ कब फ़ज़ा के आँचल में
साअ'तों की आँखों से अश्क बन के ढलका मैं
एक रोज़ तो गिरतीं फ़ासलों की दीवारें
एक रोज़ तो अपने साथ साथ चलता मैं
कौन है मिरा क़ातिल किस का नाम लूँ 'आली'
अपनी ही वफ़ाओं के पानियों में डूबा मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Nature Shayari Shayari