raasta sochte rahne se kidhar banta hai | रास्ता सोचते रहने से किधर बनता है

  - Jaleel 'Aali'

raasta sochte rahne se kidhar banta hai
sar mein sauda ho to deewaar mein dar banta hai

aag hi aag ho seene mein to kya phool jhadein
shola hoti hai zabaan lafz sharar banta hai

zindagi soch azaabon mein guzaari hai miyaan
ek din mein kahaan andaaz-e-nazar banta hai

muddai takht ke aate hain chale jaate hain
shehar ka taaj koi khaak-basar banta hai

ishq ki raah ke meyaar alag hote hain
ik juda zaaich-e-naf-o-zarar banta hai

apna izhaar aseer-e-ravish-e-aam nahin
jaise kah den wahi meyaar-e-hunar banta hai

रास्ता सोचते रहने से किधर बनता है
सर में सौदा हो तो दीवार में दर बनता है

आग ही आग हो सीने में तो क्या फूल झड़ें
शोला होती है ज़बाँ लफ़्ज़ शरर बनता है

ज़िंदगी सोच अज़ाबों में गुज़ारी है मियाँ
एक दिन में कहाँ अंदाज़-ए-नज़र बनता है

मुद्दई तख़्त के आते हैं चले जाते हैं
शहर का ताज कोई ख़ाक-बसर बनता है

इश्क़ की राह के मेयार अलग होते हैं
इक जुदा ज़ाइच-ए-नफ़-ओ-ज़रर बनता है

अपना इज़हार असीर-ए-रविश-ए-आम नहीं
जैसे कह दें वही मेयार-ए-हुनर बनता है

  - Jaleel 'Aali'

Dar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Dar Shayari Shayari