hawa bhi zor pe thi tez tha bahaav bhi | हवा भी ज़ोर पे थी तेज़ था बहाव भी

  - Jaleel 'Aali'

hawa bhi zor pe thi tez tha bahaav bhi
ladi hai khoob magar kaaghazi si naav bhi

abhi se haath chudaate ho waapsi ke liye
jo chal pade ho to phir saath saath aao bhi

jise jahaan ki ravish door le gai us ko
qareeb la na sakeen tum meri wafaao bhi

bandha raha bahar-andaaz halka-e-yaaraan
hawa hai sard kahi dard ka alaav bhi

baja ki meri tabi'at bhi la-ubaali thi
p zood-ranj tha duniya tira subhaav bhi

ibaadaton ki sharaaben bhi pee chuka lekin
sukoon de na sake tum mere khudao bhi

हवा भी ज़ोर पे थी तेज़ था बहाव भी
लड़ी है ख़ूब मगर काग़ज़ी सी नाव भी

अभी से हाथ छुड़ाते हो वापसी के लिए
जो चल पड़े हो तो फिर साथ साथ आओ भी

जिसे जहाँ की रविश दूर ले गई उस को
क़रीब ला न सकीं तुम मिरी वफाओ भी

बँधा रहा बहर-अंदाज़ हल्क़ा-ए-याराँ
हवा है सर्द कहीं दर्द का अलाव भी

बजा कि मेरी तबीअ'त भी ला-उबाली थी
प ज़ूद-रंज था दुनिया तिरा सुभाव भी

इबादतों की शराबें भी पी चुका लेकिन
सुकून दे न सके तुम मिरे ख़ुदाओ भी

  - Jaleel 'Aali'

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari