use dil se bhula dena zaroori ho gaya hai
ye jhagda hi mita dena zaroori ho gaya hai
lahu barfaab kar degi thakan yaksaaniyat ki
so kuchh fitne jaga dena zaroori ho gaya hai
gira de ghar ki deewarein na shorida-sari mein
hawa ko raasta dena zaroori ho gaya hai
bahut shab ke hawa-khwaahon ko ab khulne lage hain
diyon ki lau ghatta dena zaroori ho gaya hai
bharam jaaye ki jaaye raah par aaye na aaye
use sab kuchh bata dena zaroori ho gaya hai
main kehta hoon ki jaan haazir kiye deta hoon lekin
vo kahte hain ana dena zaroori ho gaya hai
ye sar shaanon pe ab ik bojh ki soorat hai aali
sar-e-maqtal sada dena zaroori ho gaya hai
उसे दिल से भुला देना ज़रूरी हो गया है
ये झगड़ा ही मिटा देना ज़रूरी हो गया है
लहू बरफ़ाब कर देगी थकन यकसानियत की
सो कुछ फ़ित्ने जगा देना ज़रूरी हो गया है
गिरा दे घर की दीवारें न शोरीदा-सरी में
हवा को रास्ता देना ज़रूरी हो गया है
बहुत शब के हवा-ख़्वाहों को अब खुलने लगे हैं
दियों की लौ घटा देना ज़रूरी हो गया है
भरम जाए कि जाए राह पर आए न आए
उसे सब कुछ बता देना ज़रूरी हो गया है
मैं कहता हूँ कि जाँ हाज़िर किए देता हूँ लेकिन
वो कहते हैं अना देना ज़रूरी हो गया है
ये सर शानों पे अब इक बोझ की सूरत है 'आली'
सर-ए-मक़्तल सदा देना ज़रूरी हो गया है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'
our suggestion based on Jaleel 'Aali'
As you were reading Self respect Shayari Shayari