guzar gaya jo mere dil pe saanehaa ban kar | गुज़र गया जो मिरे दिल पे सानेहा बन कर

  - Jaleel 'Aali'

guzar gaya jo mere dil pe saanehaa ban kar
utar gaya vo meri rooh mein khuda ban kar

tira khayal shab-e-hijr phailta hi gaya
hazaar rang ki sochon ka silsila ban kar

wafa ke sang se takra ke ehtijaaj-e-ana
saleeb-e-lab pe sisakne laga dua ban kar

badan ke dasht mein man ki haseen subhon ko
nikal raha hai gham-e-dehr azdaha ban kar

kabhi to deep jalen gul khilen fazaa mahke
kabhi to aa shab-e-veeraan mein ratjaga ban kar

tamaam umr jise dhoondte rahe a'li
kahi mila bhi agar vo to fasla ban kar

गुज़र गया जो मिरे दिल पे सानेहा बन कर
उतर गया वो मिरी रूह में ख़ुदा बन कर

तिरा ख़याल शब-ए-हिज्र फैलता ही गया
हज़ार रंग की सोचों का सिलसिला बन कर

वफ़ा के संग से टकरा के एहतिजाज-ए-अना
सलीब-ए-लब पे सिसकने लगा दुआ बन कर

बदन के दश्त में मन की हसीन सुब्हों को
निकल रहा है ग़म-ए-दहर अज़दहा बन कर

कभी तो दीप जलें गुल खिलें फ़ज़ा महके
कभी तो आ शब-ए-वीराँ में रतजगा बन कर

तमाम उम्र जिसे ढूँडते रहे 'आ'ली'
कहीं मिला भी अगर वो तो फ़ासला बन कर

  - Jaleel 'Aali'

Khuda Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Khuda Shayari Shayari