apne hone ki ihaanat nahin ham kar sakte | अपने होने की इहानत नहीं हम कर सकते

  - Jaleel 'Aali'

apne hone ki ihaanat nahin ham kar sakte
so tiri yaad se ghaflat nahin ham kar sakte

dil mein laate nahin dushman se bhi nafrat ka khayal
is se kam koi ibadat nahin ham kar sakte

door rahte hain takabbur ki hawa se lekin
izz ko ghaafil-e-ghairat nahin ham kar sakte

maslahat sehar bahut phoonkti phirti hai bhare
kam qad-o-qaamat-e-vahshat nahin ham kar sakte

dher tafreeh-e-tan-o-jaan ke laga do jitne
tark ik dard ki daulat nahin ham kar sakte

chhod sakte hain ye sab sahan-o-dar-o-baam-e-jahan
qariya-e-khwaab se hijrat nahin ham kar sakte

tum zameen par jo khuda bante chale jaate ho
kya samjhte ho bagaavat nahin ham kar sakte

jis ravish bhi ho ravaan ghol-e-zamaana aali
aap se koi riaayat nahin ham kar sakte

अपने होने की इहानत नहीं हम कर सकते
सो तिरी याद से ग़फ़लत नहीं हम कर सकते

दिल में लाते नहीं दुश्मन से भी नफ़रत का ख़याल
इस से कम कोई इबादत नहीं हम कर सकते

दूर रहते हैं तकब्बुर की हवा से लेकिन
इज्ज़ को ग़ाफ़िल-ए-ग़ैरत नहीं हम कर सकते

मस्लहत सहर बहुत फूँकती फिरती है भरे
कम क़द-ओ-क़ामत-ए-वहशत नहीं हम कर सकते

ढेर तफ़रीह-ए-तन-ओ-जाँ के लगा दो जितने
तर्क इक दर्द की दौलत नहीं हम कर सकते

छोड़ सकते हैं ये सब सहन-ओ-दर-ओ-बाम-ए-जहाँ
क़रिया-ए-ख़्वाब से हिजरत नहीं हम कर सकते

तुम ज़मीं पर जो ख़ुदा बनते चले जाते हो
क्या समझते हो बग़ावत नहीं हम कर सकते

जिस रविश भी हो रवाँ ग़ोल-ए-ज़माना 'आली'
आप से कोई रिआयत नहीं हम कर सकते

  - Jaleel 'Aali'

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari