lutte hain bahut sahal ki din aise karde hain | लुटते हैं बहुत सहल कि दिन ऐसे कड़े हैं

  - Jaleel 'Aali'

lutte hain bahut sahal ki din aise karde hain
ghar mein nahin jaise kahi jungle mein pade hain

sar saanjh ke kab hain faqat ik shor-e-ana hai
chaahat ke qabeele nahin khwaahish ke dhade hain

kis rang se tum sang zamaane ke chale ho
har nang mein nashshe tumhein kuchh aur chadhe hain

din raat hain be-mehr hawaon ke hawaale
patton ki tarah jaise darakhton se jhade hain

duniya to hai duniya ki vo dushman hai sada ki
sau baar tire ishq mein ham khud se lade hain

yalghaar karoon kya mere pindaar ke parcham
raaste mein pahaadon ki tarah aan khade hain

itne bhi tahee-dast taalluq nahin aali
is shehar mein kuchh apne bhi mashrab ke thade hain

लुटते हैं बहुत सहल कि दिन ऐसे कड़े हैं
घर में नहीं जैसे कहीं जंगल में पड़े हैं

सर साँझ के कब हैं फ़क़त इक शोर-ए-अना है
चाहत के क़बीले नहीं ख़्वाहिश के धड़े हैं

किस रंग से तुम संग ज़माने के चले हो
हर नंग में नश्शे तुम्हें कुछ और चढ़े हैं

दिन रात हैं बे-महर हवाओं के हवाले
पत्तों की तरह जैसे दरख़्तों से झड़े हैं

दुनिया तो है दुनिया कि वो दुश्मन है सदा की
सौ बार तिरे इश्क़ में हम ख़ुद से लड़े हैं

यलग़ार करूँ क्या मिरे पिंदार के परचम
रस्ते में पहाड़ों की तरह आन खड़े हैं

इतने भी तही-दस्त तअल्लुक़ नहीं 'आली'
इस शहर में कुछ अपने भी मशरब के थड़े हैं

  - Jaleel 'Aali'

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari