zindagi zinda hai lekin kisi dam-saaz ke saath | ज़िंदगी ज़िंदा है लेकिन किसी दम-साज़ के साथ

  - Jaleel 'Aali'

zindagi zinda hai lekin kisi dam-saaz ke saath
warna yun jaise kabootar koi shahbaaz ke saath

bijliyaan saath liye zahar bhare lamhon ki
waqt chalta hai zamaane mein kis andaaz ke saath

aasmaan jaane kahaan le ke chala hai mujh ko
oopar uthata hai barabar meri parwaaz ke saath

aaj tanhaa hoon to kya dekhta rahna kal tak
aur aawaazen bhi hongi meri awaaz ke saath

ek aaghaaz ubharta hai har anjaam ke ba'ad
ek anjaam bhi palta hai har aaghaaz ke saath

ek lamha ki garaan hai mujhe tanhaai mein
ek duniya ki jawaan hai mere hamraaz ke saath

ज़िंदगी ज़िंदा है लेकिन किसी दम-साज़ के साथ
वर्ना यूँ जैसे कबूतर कोई शहबाज़ के साथ

बिजलियाँ साथ लिए ज़हर भरे लम्हों की
वक़्त चलता है ज़माने में किस अंदाज़ के साथ

आसमाँ जाने कहाँ ले के चला है मुझ को
ऊपर उठता है बराबर मिरी पर्वाज़ के साथ

आज तन्हा हूँ तो क्या, देखता रहना कल तक
और आवाज़ें भी होंगी मिरी आवाज़ के साथ

एक आग़ाज़ उभरता है हर अंजाम के बा'द
एक अंजाम भी पलता है हर आग़ाज़ के साथ

एक लम्हा कि गराँ है मुझे तन्हाई में
एक दुनिया कि जवाँ है मिरे हमराज़ के साथ

  - Jaleel 'Aali'

Shaheed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Shaheed Shayari Shayari