jism ke khol se nikloon to qaza ko dekhoon | जिस्म के ख़ोल से निकलूँ तो क़ज़ा को देखूँ

  - Jaleel 'Aali'

jism ke khol se nikloon to qaza ko dekhoon
but ko raaste se hataaun to khuda ko dekhoon

aisa kya jurm hua hai ki tadpate marte
apne ehsaas ki sooli pe ana ko dekhoon

bolti aankh ka ras hanste hue lafz ka roop
baat nazaron ki sunoon ya ki sada ko dekhoon

in ki qismat ki khilen roz tamannaa ke gulaab
meri taqdeer ki zakhamon ki chitaa ko dekhoon

is tavakko pe ki shaayad koi darvesh mile
ghaur se shehar ke ek ek gada ko dekhoon

mujh ko tahzeeb ke khushhaali ne sikhaaya hai yahi
takhti-e-dil na padhoon rang-e-qaba ko dekhoon

जिस्म के ख़ोल से निकलूँ तो क़ज़ा को देखूँ
बुत को रस्ते से हटाऊँ तो ख़ुदा को देखूँ

ऐसा क्या जुर्म हुआ है कि तड़पते मरते
अपने एहसास की सूली पे अना को देखूँ

बोलती आँख का रस हँसते हुए लफ़्ज़ का रूप
बात नज़रों की सुनूँ या कि सदा को देखूँ

इन की क़िस्मत कि खिलें रोज़ तमन्ना के गुलाब
मेरी तक़दीर कि ज़ख़्मों की चिता को देखूँ

इस तवक़्क़ो' पे कि शायद कोई दरवेश मिले
ग़ौर से शहर के एक एक गदा को देखूँ

मुझ को तहज़ीब के मकतब ने सिखाया है यही
तख़्ती-ए-दिल न पढ़ूँ रंग-ए-क़बा को देखूँ

  - Jaleel 'Aali'

Raasta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel 'Aali'

As you were reading Shayari by Jaleel 'Aali'

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel 'Aali'

Similar Moods

As you were reading Raasta Shayari Shayari