aks hai aaina-e-dahr mein soorat meri | अक्स है आईना-ए-दहर में सूरत मेरी - Jaleel Manikpuri

aks hai aaina-e-dahr mein soorat meri
kuch haqeeqat nahin itni hai haqeeqat meri

dekhta main use kyunkar ki naqaab uthte hi
ban ke deewaar khadi ho gai hairat meri

roz vo khwaab mein aate hain gale milne ko
main jo sota hoon to jaag uthati hai qismat meri

sach hai ehsaan ka bhi bojh bahut hota hai
chaar phoolon se dabii jaati hai turbat meri

aaine se unhen kuch uns nahin baat ye hai
chahte hain koi dekha kare soorat meri

main ye samjhoon koi maashooq mere haath aaya
mere qaabu mein jo aa jaaye tabi'at meri

boo-e-gesoo ne shagoofa ye naya chhodaa hai
nikhat-e-gul se uljhti hai tabi'at meri

un se izhaar-e-mohabbat jo koi karta hai
door se us ko dikha dete hain turbat meri

jaate jaate vo yahi kar gaye taakeed jaleel
dil mein rakhiyega hifazat se mohabbat meri

अक्स है आईना-ए-दहर में सूरत मेरी
कुछ हक़ीक़त नहीं इतनी है हक़ीक़त मेरी

देखता मैं उसे क्यूँकर कि नक़ाब उठते ही
बन के दीवार खड़ी हो गई हैरत मेरी

रोज़ वो ख़्वाब में आते हैं गले मिलने को
मैं जो सोता हूँ तो जाग उठती है क़िस्मत मेरी

सच है एहसान का भी बोझ बहुत होता है
चार फूलों से दबी जाती है तुर्बत मेरी

आईने से उन्हें कुछ उन्स नहीं बात ये है
चाहते हैं कोई देखा करे सूरत मेरी

मैं ये समझूँ कोई माशूक़ मिरे हाथ आया
मेरे क़ाबू में जो आ जाए तबीअ'त मेरी

बू-ए-गेसू ने शगूफ़ा ये नया छोड़ा है
निकहत-ए-गुल से उलझती है तबीअ'त मेरी

उन से इज़हार-ए-मोहब्बत जो कोई करता है
दूर से उस को दिखा देते हैं तुर्बत मेरी

जाते जाते वो यही कर गए ताकीद 'जलील'
दिल में रखिएगा हिफ़ाज़त से मोहब्बत मेरी

- Jaleel Manikpuri
1 Like

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaleel Manikpuri

As you were reading Shayari by Jaleel Manikpuri

Similar Writers

our suggestion based on Jaleel Manikpuri

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari