na khushi achhi hai ai dil na malaal achha hai
yaar jis haal mein rakhe wahi haal achha hai
dil-e-betaab ko pahluu mein machalte kya der
sun le itna kisi kaafir ka jamaal achha hai
baat ulti vo samjhte hain jo kuchh kehta hoon
ab ke poocha to ye kah doonga ki haal achha hai
sohbat aaine se bachpan mein khuda khair kare
vo abhi se kahi samjhen na jamaal achha hai
mushtari dil ka ye kah kah ke banaya un ko
cheez anokhi hai nayi jins hai maal achha hai
chashm o dil jis ke hon mushtaaq vo soorat achhi
jis ki taarif ho ghar ghar vo jamaal achha hai
yaar tak roz pahunchti hai buraai meri
rashk hota hai ki mujh se mera haal achha hai
apni aankhen nazar aati hain jo achhi un ko
jaante hain mere beemaar ka haal achha hai
baaton baaton mein laga laaye haseenon ko jaleel
tum ko bhi seher-bayaani mein kamaal achha hai
न ख़ुशी अच्छी है ऐ दिल न मलाल अच्छा है
यार जिस हाल में रक्खे वही हाल अच्छा है
दिल-ए-बेताब को पहलू में मचलते क्या देर
सुन ले इतना किसी काफ़िर का जमाल अच्छा है
बात उल्टी वो समझते हैं जो कुछ कहता हूँ
अब के पूछा तो ये कह दूँगा कि हाल अच्छा है
सोहबत आईने से बचपन में ख़ुदा ख़ैर करे
वो अभी से कहीं समझें न जमाल अच्छा है
मुश्तरी दिल का ये कह कह के बनाया उन को
चीज़ अनोखी है नई जिंस है माल अच्छा है
चश्म ओ दिल जिस के हों मुश्ताक़ वो सूरत अच्छी
जिस की तारीफ़ हो घर घर वो जमाल अच्छा है
यार तक रोज़ पहुँचती है बुराई मेरी
रश्क होता है कि मुझ से मिरा हाल अच्छा है
अपनी आँखें नज़र आती हैं जो अच्छी उन को
जानते हैं मिरे बीमार का हाल अच्छा है
बातों बातों में लगा लाए हसीनों को 'जलील'
तुम को भी सेहर-बयानी में कमाल अच्छा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaleel Manikpuri
our suggestion based on Jaleel Manikpuri
As you were reading Gham Shayari Shayari