khamoshi se kudoorat aur bhi gambheer hoti hai | ख़मोशी से कुदूरत और भी गंभीर होती है - Javed Aslam

khamoshi se kudoorat aur bhi gambheer hoti hai
karo baatein ki baaton mein chhupi tadbeer hoti hai

bazaahir laakh gard aalood kar de waqt ki aandhi
numayaan dastaras dil mein tiri tasveer hoti hai

khuda ki thi khuda ki hai khuda ki hi rahe gee ye
jo rakhwaale the un ki kab yahan jaageer hoti hai

hasad ki aag mein har waqt haasid khud hi jalta hai
imarat par imarat khoob tar ta'aamir hoti hai

jo naslein ilm ki daulat se hon mahroom un ke to
gale mein tauq pairo'n mein padi zanjeer hoti hai

lagana zarb jab dil par to zalim yaad ye rakhna
isee dil mein tumhaari zaat ki tauqeer hoti hai

nahin dar hai tujhe duniya se aslam jaan le duniya
tire dil mein khuda ke khauf ki tanveer hoti hai

ख़मोशी से कुदूरत और भी गंभीर होती है
करो बातें कि बातों में छुपी तदबीर होती है

बज़ाहिर लाख गर्द आलूद कर दे वक़्त की आंँधी
नुमायाँ दस्तरस दिल में तिरी तस्वीर होती है

ख़ुदा की थी ख़ुदा की है ख़ुदा की ही रहे गी ये
जो रखवाले थे उन की कब यहाँ जागीर होती है

ह़सद की आग में हर वक़्त ह़ासिद ख़ुद ही जलता है
इमारत पर इमारत ख़ूब तर ता'मीर होती है

जो नस्लें इल्म की दौलत से हों महरूम उन के तो
गले में तौक़ पैरों में पड़ी ज़न्जीर होती है

लगाना ज़र्ब जब दिल पर तो ज़ालिम याद ये रखना
इसी दिल में तुम्हारी ज़ात की तौक़ीर होती है

नहीं डर है तुझे दुनिया से 'असलम' जान ले दुनिया
तिरे दिल में ख़ुदा के ख़ौफ़ की तन्वीर होती है

- Javed Aslam
1 Like

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Aslam

As you were reading Shayari by Javed Aslam

Similar Writers

our suggestion based on Javed Aslam

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari