ik hunar hai jo kar gaya hoon main | इक हुनर है जो कर गया हूँ मैं

  - Jaun Elia

ik hunar hai jo kar gaya hoon main
sab ke dil se utar gaya hoon main

kaise apni hasi ko zabt karoon
sun raha hoon ki ghar gaya hoon main

kya bataaun ki mar nahin paata
jeete-ji jab se mar gaya hoon main

ab hai bas apna saamna dar-pesh
har kisi se guzar gaya hoon main

wahi naaz-o-ada wahi ghamze
sar-b-sar aap par gaya hoon main

ajab ilzaam hoon zamaane ka
ki yahan sab ke sar gaya hoon main

kabhi khud tak pahunch nahin paaya
jab ki waan umr bhar gaya hoon main

tum se jaanaan mila hoon jis din se
be-tarah khud se dar gaya hoon main

koo-e-jaanaan mein sog barpa hai
ki achaanak sudhar gaya hoon main

इक हुनर है जो कर गया हूँ मैं
सब के दिल से उतर गया हूँ मैं

कैसे अपनी हँसी को ज़ब्त करूँ
सुन रहा हूँ कि घर गया हूँ मैं

क्या बताऊँ कि मर नहीं पाता
जीते-जी जब से मर गया हूँ मैं

अब है बस अपना सामना दर-पेश
हर किसी से गुज़र गया हूँ मैं

वही नाज़-ओ-अदा वही ग़म्ज़े
सर-ब-सर आप पर गया हूँ मैं

अजब इल्ज़ाम हूँ ज़माने का
कि यहाँ सब के सर गया हूँ मैं

कभी ख़ुद तक पहुँच नहीं पाया
जब कि वाँ उम्र भर गया हूँ मैं

तुम से जानाँ मिला हूँ जिस दिन से
बे-तरह ख़ुद से डर गया हूँ मैं

कू-ए-जानाँ में सोग बरपा है
कि अचानक सुधर गया हूँ मैं

  - Jaun Elia

Khushi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jaun Elia

As you were reading Shayari by Jaun Elia

Similar Writers

our suggestion based on Jaun Elia

Similar Moods

As you were reading Khushi Shayari Shayari