sar hi ab phodiye nadaamat mein
neend aane lagi hai furqat mein
hain daleelen tire khilaaf magar
sochta hoontiri himayat mein
rooh ne ishq ka fareb diya
jism ko jism ki adavat mein
ab faqat aadaton ki varzish hai
rooh shaamil nahin shikaayat mein
ishq ko darmiyaann laao ki main
cheekhta hoombadan ki usrut mein
ye kuchh aasaan to nahin hai ki ham
roothe ab bhi hain muravvat mein
vo jo taameer hone waali thi
lag gai aag us imarat mein
zindagi kis tarah basar hogi
dil nahin lag raha mohabbat mein
haasil-e-kun hai ye jahaan-e-kharaab
yahi mumkin tha itni ujlat mein
phir banaya khuda ne aadam ko
apni soorat pe aisi soorat mein
ai khuda jo kahi nahin maujood
kya likha hai hamaari qismat mein
सर ही अब फोड़िए नदामत में
नींद आने लगी है फ़ुर्क़त में
हैं दलीलें तिरे ख़िलाफ़ मगर
सोचता हूंतिरी हिमायत में
रूह ने इश्क़ का फ़रेब दिया
जिस्म को जिस्म की अदावत में
अब फ़क़त आदतों की वर्ज़िश है
रूह शामिल नहीं शिकायत में
इश्क़ को दरमियांन लाओ कि मैं
चीख़ता हूंबदन की उसरत में
ये कुछ आसान तो नहीं है कि हम
रूठते अब भी हैं मुरव्वत में
वो जो तामीर होने वाली थी
लग गई आग उस इमारत में
ज़िंदगी किस तरह बसर होगी
दिल नहीं लग रहा मोहब्बत में
हासिल-ए-कुन है ये जहान-ए-ख़राब
यही मुमकिन था इतनी उजलत में
फिर बनाया ख़ुदा ने आदम को
अपनी सूरत पे ऐसी सूरत में
ऐ ख़ुदा जो कहीं नहीं मौजूद
क्या लिखा है हमारी क़िस्मत में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaun Elia
our suggestion based on Jaun Elia
As you were reading Khwab Shayari Shayari