ramz
tum jab aaogi to khoya hua paayogi mujhe
meri tanhaai mein khwaabon ke siva kuchh bhi nahin
mere kamre ko sajaane ki tamannaa hai tumhein
mere kamre mein kitaabon ke siva kuchh bhi nahin
in kitaabon ne bada zulm kiya hai mujh par
in mein ik ramz hai jis ramz ka maara hua zehan
muzdaa-e-ishrat-e-anjaam nahin pa saka
zindagi mein kabhi aaraam nahin pa saka
"रम्ज़"
तुम जब आओगी तो खोया हुआ पाओगी मुझे
मेरी तन्हाई में ख़्वाबों के सिवा कुछ भी नहीं
मेरे कमरे को सजाने की तमन्ना है तुम्हें
मेरे कमरे में किताबों के सिवा कुछ भी नहीं
इन किताबों ने बड़ा ज़ुल्म किया है मुझ पर
इन में इक रम्ज़ है जिस रम्ज़ का मारा हुआ ज़ेहन
मुज़्दा-ए-इशरत-ए-अंजाम नहीं पा सकता
ज़िंदगी में कभी आराम नहीं पा सकता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jaun Elia
our suggestion based on Jaun Elia
As you were reading Yaad Shayari Shayari