suraj dhalt hai | सूरज ढलता है - Javaid Anwar

suraj dhalt hai
aur bam girta hai

aur bam girte hain
suraj dhalne se
suraj chadhne tak

chadhe hue din mein bhi idhar udhar
bam girte rahte hain
lekin koi cheekh sunaai nahin deti
pehle deti thi
ab koi nahin rota

gehre gehre gadhe hain aur gaḍhon
mein
galata hua insaani maas hai bacha-khucha
aur chaaron jaanib
eenten patthar sariya toote hue
darwaaze khidkiyaan kutta billi cheel
aur dare dare kuch log
udhar udhar se jhaankte hain
udhar udhar chhup jaate hain
bam girta hai

lekin ek khandar mein cigarette jalta hai
bujhta hai
jalta hai
dar gusse mein dhalt hai
rocket chalta hai

rocket chalta hai
duniya cheekhti hai
aur bam girta hai
to
kisi ko sunaai nahin deta
kisi ko dikhaai nahin deta

सूरज ढलता है
और बम गिरता है

और बम गिरते हैं
सूरज ढलने से
सूरज चढ़ने तक

चढ़े हुए दिन में भी इधर उधर
बम गिरते रहते हैं
लेकिन कोई चीख़ सुनाई नहीं देती
पहले देती थी
अब कोई नहीं रोता

गहरे गहरे गढ़े हैं और गढ़ों
में
गलता हुआ इंसानी मास है बचा-खुचा
और चारों जानिब
ईंटें पत्थर सरिया टूटे हुए
दरवाज़े खिड़कियाँ कुत्ता बिल्ली चील
और डरे डरे कुछ लोग
उधर उधर से झाँकते हैं
उधर उधर छुप जाते हैं
बम गिरता है

लेकिन एक खंडर में सिगरेट जलता है
बुझता है
जलता है
डर ग़ुस्से में ढलता है
रॉकेट चलता है

रॉकेट चलता है
दुनिया चीख़ती है
और बम गिरता है
तो
किसी को सुनाई नहीं देता
किसी को दिखाई नहीं देता

- Javaid Anwar
0 Likes

Sooraj Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javaid Anwar

As you were reading Shayari by Javaid Anwar

Similar Writers

our suggestion based on Javaid Anwar

Similar Moods

As you were reading Sooraj Shayari Shayari