bahaana dhoondte rahte hain koi rone ka | बहाना ढूँडते रहते हैं कोई रोने का

  - Javed Akhtar

bahaana dhoondte rahte hain koi rone ka
hamein ye shauq hai kya aasteen bhigone ka

agar palak pe hai moti to ye nahin kaafi
hunar bhi chahiye alfaaz mein pirone ka

jo fasl khwaab ki taiyyaar hai to ye jaano
ki waqt aa gaya phir dard koi bone ka

ye zindagi bhi ajab kaarobaar hai ki mujhe
khushi hai paane ki koi na ranj khone ka

hai paash paash magar phir bhi muskurata hai
vo chehra jaise ho toote hue khilone ka

बहाना ढूँडते रहते हैं कोई रोने का
हमें ये शौक़ है क्या आस्तीं भिगोने का

अगर पलक पे है मोती तो ये नहीं काफ़ी
हुनर भी चाहिए अल्फ़ाज़ में पिरोने का

जो फ़स्ल ख़्वाब की तय्यार है तो ये जानो
कि वक़्त आ गया फिर दर्द कोई बोने का

ये ज़िंदगी भी अजब कारोबार है कि मुझे
ख़ुशी है पाने की कोई न रंज खोने का

है पाश पाश मगर फिर भी मुस्कुराता है
वो चेहरा जैसे हो टूटे हुए खिलौने का

  - Javed Akhtar

Bachpan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Javed Akhtar

As you were reading Shayari by Javed Akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Javed Akhtar

Similar Moods

As you were reading Bachpan Shayari Shayari