dard kuchh din to mehmaan thehre
ham b-zid hain ki mezbaan thehre
sirf tanhaai sirf veeraani
ye nazar jab uthe jahaan thehre
kaun se zakham par padaav kiya
dard ke qafile kahaan thehre
kaise dil mein khushi basa luun main
kaise mutthi mein ye dhuaan thehre
thi kahi maslahat kahi jurat
ham kahi in ke darmiyaan thehre
दर्द कुछ दिन तो मेहमाँ ठहरे
हम ब-ज़िद हैं कि मेज़बाँ ठहरे
सिर्फ़ तन्हाई सिर्फ़ वीरानी
ये नज़र जब उठे जहाँ ठहरे
कौन से ज़ख़्म पर पड़ाव किया
दर्द के क़ाफ़िले कहाँ ठहरे
कैसे दिल में ख़ुशी बसा लूँ मैं
कैसे मुट्ठी में ये धुआँ ठहरे
थी कहीं मस्लहत कहीं जुरअत
हम कहीं इन के दरमियाँ ठहरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Akhtar
our suggestion based on Javed Akhtar
As you were reading Pollution Shayari Shayari