din ke ujaale ki koi haqeeqat to raat ka andhera bhi vujood rakhta hai
ham hawa ko choo nahin sakte hawa hamein chhooti hai
main agar tum se nafrat karta hoon to mere dil mein tumhaare liye mohabbat
bhi hai
mohabbat aur nafrat dono hi zindagi hain
jis tarah raat aur din
aasaaish agar zindagi hai to be-maaegi aur masaib bhi
jaagna zindagi hai to neend aur neend mein khwaabon ka aana bhi
samundar pahaad agar kaayenaat ka juz hain to hamaare dil ki dhadkanein bhi
paidaish zindagi hai to maut ka aakhiri pal bhi
in sab cheezein ko kya tum zindagi se alag kar sakte ho
zindagi mein zindagi samaai hui hai
zindagi kabhi fana nahin hoti
ye shaklein badal kar tumhaare saamne aayegi
paidaish aur maut zindagi ke hi do naam hain
safar ki ibtida-o-intiha
safar jo zindagi hai
aur zindagi kaayenaat ki doosri badi sacchaai
mauj andar mauj samundar ki tarah asraar-e-khazaain liye hue
tum agar is doosri badi sacchaai ko samajh sake
to
kaayenaat ki pehli badi sacchaai tum par khud-bakhud aashkaar ho jaayegi
दिन के उजाले की कोई हक़ीक़त तो रात का अँधेरा भी वजूद रखता है
हम हवा को छू नहीं सकते हवा हमें छूती है
मैं अगर तुम से नफ़रत करता हूँ तो मेरे दिल में तुम्हारे लिए मोहब्बत
भी है
मोहब्बत और नफ़रत दोनों ही ज़िंदगी हैं
जिस तरह रात और दिन
आसाइश अगर ज़िंदगी है तो बे-माएगी और मसाइब भी
जागना ज़िंदगी है तो नींद और नींद में ख़्वाबों का आना भी
समुंदर पहाड़ अगर काएनात का जुज़ हैं तो हमारे दिल की धड़कनें भी
पैदाइश ज़िंदगी है तो मौत का आख़िरी पल भी
इन सब चीज़ों को क्या तुम ज़िंदगी से अलग कर सकते हो
ज़िंदगी में ज़िंदगी समाई हुई है
ज़िंदगी कभी फ़ना नहीं होती
ये शक्लें बदल कर तुम्हारे सामने आएगी
पैदाइश और मौत ज़िंदगी के ही दो नाम हैं
सफ़र की इब्तिदा-ओ-इंतिहा
सफ़र जो ज़िंदगी है
और ज़िंदगी काएनात की दूसरी बड़ी सच्चाई
मौज अंदर मौज समुंदर की तरह असरार-ए-ख़ज़ाइन लिए हुए
तुम अगर इस दूसरी बड़ी सच्चाई को समझ सके
तो
काएनात की पहली बड़ी सच्चाई तुम पर ख़ुद-बख़ुद आश्कार हो जाएगी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Javed Nadeem
our suggestion based on Javed Nadeem
As you were reading Qabr Shayari Shayari