dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main | दिल में किसी के राह किए जा रहा हूँ मैं

  - Jigar Moradabadi

dil mein kisi ke raah kiye ja raha hoon main
kitna haseen gunaah kiye ja raha hoon main

duniyaa-e-dil tabaah kiye ja raha hoon main
sarf-e-nigaah-o-aah kiye ja raha hoon main

fard-e-amal siyaah kiye ja raha hoon main
rahmat ko be-panaah kiye ja raha hoon main

aisi bhi ik nigaah kiye ja raha hoon main
zarroon ko mehr-o-maah kiye ja raha hoon main

mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chaand
khud husn ko gawaah kiye ja raha hoon main

daftar hai ek maani-e-be-lafz-o-saut ka
saada si jo nigaah kiye ja raha hoon main

aage qadam badhaayein jinhen soojhtaa nahin
raushan charaagh-e-raah kiye ja raha hoon main

maasoomi-e-jamaal ko bhi jin pe rashk hai
aise bhi kuchh gunaah kiye ja raha hoon main

tanqeed-e-husn maslahat-e-khaas-e-ishq hai
ye jurm gaah gaah kiye ja raha hoon main

uthati nahin hai aankh magar us ke roo-b-roo
na-deeda ik nigaah kiye ja raha hoon main

gulshan-parast hoon mujhe gul hi nahin aziz
kaanton se bhi nibaah kiye ja raha hoon main

yun zindagi guzaar raha hoon tire baghair
jaise koi gunaah kiye ja raha hoon main

mujh se ada hua hai jigar justuju ka haq
har zarre ko gawaah kiye ja raha hoon main

दिल में किसी के राह किए जा रहा हूँ मैं
कितना हसीं गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

दुनिया-ए-दिल तबाह किए जा रहा हूँ मैं
सर्फ़-ए-निगाह-ओ-आह किए जा रहा हूँ मैं

फ़र्द-ए-अमल सियाह किए जा रहा हूँ मैं
रहमत को बे-पनाह किए जा रहा हूँ मैं

ऐसी भी इक निगाह किए जा रहा हूँ मैं
ज़र्रों को मेहर-ओ-माह किए जा रहा हूँ मैं

मुझसे लगे हैं इश्क़ की अज़्मत को चार चाँद
ख़ुद हुस्न को गवाह किए जा रहा हूँ मैं

दफ़्तर है एक मानी-ए-बे-लफ़्ज़-ओ-सौत का
सादा सी जो निगाह किए जा रहा हूँ मैं

आगे क़दम बढ़ाएँ जिन्हें सूझता नहीं
रौशन चराग़-ए-राह किए जा रहा हूँ मैं

मासूमी-ए-जमाल को भी जिन पे रश्क है
ऐसे भी कुछ गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

तन्क़ीद-ए-हुस्न मस्लहत-ए-ख़ास-ए-इश्क़ है
ये जुर्म गाह गाह किए जा रहा हूँ मैं

उठती नहीं है आँख मगर उस के रू-ब-रू
नादीदा इक निगाह किए जा रहा हूँ मैं

गुलशन-परस्त हूँ मुझे गुल ही नहीं अज़ीज़
काँटों से भी निबाह किए जा रहा हूँ मैं

यूँ ज़िन्दगी गुज़ार रहा हूँ तिरे बग़ैर
जैसे कोई गुनाह किए जा रहा हूँ मैं

मुझ से अदा हुआ है 'जिगर' जुस्तुजू का हक़
हर ज़र्रे को गवाह किए जा रहा हूँ मैं

  - Jigar Moradabadi

Love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Love Shayari Shayari