duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad | दुनिया के सितम याद न अपनी ही वफ़ा याद

  - Jigar Moradabadi

duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siva yaad

main shikwa b-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shaayad ki mere bhoolne waale ne kiya yaad

chheda tha jise pahle-pahl teri nazar ne
ab tak hai vo ik naghma-e-be-saaz-o-sada yaad

jab koi haseen hota hai sargarm-e-nawaazish
us waqt vo kuchh aur bhi aate hain siva yaad

kya jaaniye kya ho gaya arbaab-e-junoon ko
marne ki ada yaad na jeene ki ada yaad

muddat hui ik haadsa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tire dil ke dhadkane ki sada yaad

haan haan tujhe kya kaam meri shiddat-e-gham se
haan haan nahin mujh ko tire daaman ki hawa yaad

main tark-e-rah-o-rasm-e-junoon kar hi chuka tha
kyun aa gai aise mein tiri laghizish-e-paa yaad

kya lutf ki main apna pata aap bataaun
kijeye koi bhooli hui khaas apni ada yaad

दुनिया के सितम याद न अपनी ही वफ़ा याद
अब मुझ को नहीं कुछ भी मोहब्बत के सिवा याद

मैं शिकवा ब-लब था मुझे ये भी न रहा याद
शायद कि मिरे भूलने वाले ने किया याद

छेड़ा था जिसे पहले-पहल तेरी नज़र ने
अब तक है वो इक नग़्मा-ए-बे-साज़-ओ-सदा याद

जब कोई हसीं होता है सरगर्म-ए-नवाज़िश
उस वक़्त वो कुछ और भी आते हैं सिवा याद

क्या जानिए क्या हो गया अरबाब-ए-जुनूँ को
मरने की अदा याद न जीने की अदा याद

मुद्दत हुई इक हादसा-ए-इश्क़ को लेकिन
अब तक है तिरे दिल के धड़कने की सदा याद

हाँ हाँ तुझे क्या काम मिरी शिद्दत-ए-ग़म से
हाँ हाँ नहीं मुझ को तिरे दामन की हवा याद

मैं तर्क-ए-रह-ओ-रस्म-ए-जुनूँ कर ही चुका था
क्यूँ आ गई ऐसे में तिरी लग़्ज़िश-ए-पा याद

क्या लुत्फ़ कि मैं अपना पता आप बताऊँ
कीजे कोई भूली हुई ख़ास अपनी अदा याद

  - Jigar Moradabadi

Waqt Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jigar Moradabadi

As you were reading Shayari by Jigar Moradabadi

Similar Writers

our suggestion based on Jigar Moradabadi

Similar Moods

As you were reading Waqt Shayari Shayari