kya hind ka zindaan kaanp raha hai goonj rahi hain takbeerein | क्या हिन्द का ज़िंदाँ काँप रहा है गूँज रही हैं तक्बीरें

  - Josh Malihabadi

kya hind ka zindaan kaanp raha hai goonj rahi hain takbeerein
uktaae hain shaayad kuchh qaaidi aur tod rahe hain zanjeeren
deewaron ke neeche aa aa kar yun jam'a hue hain zindaani
seenon mein talaatum bijli ka aankhon mein jhalkati shamshirein
bhookhon ki nazar mein bijli hai topon ke dahaane thande hain
taqdeer ke lab ko jumbish hai dam tod rahi hain tadbeerein
aankhon mein gada ki surkhi hai be-noor hai chehra sultaan ka
takhreeb ne parcham khola hai sajde mein padi hain taamirein
kya un ko khabar thi zer-o-zabar rakhte the jo rooh-e-millat ko
ublenge zameen se maar-e-siyah barsengi falak se shamshirein
kya un ko khabar thi seenon se jo khoon churaaya karte the
ik roz isee be-rangi se jhalkenge hazaaron tasveerein
kya un ko khabar thi honton par jo qufl lagaaya karte the
ik roz isee khaamoshi se tapkenge dahakti taqreerein
sambhalon ki vo zindaan goonj utha jhapto ki vo qaaidi chhoot gaye
utho ki vo baitheen deewarein daudo ki vo tooti zanjeeren

क्या हिन्द का ज़िंदाँ काँप रहा है गूँज रही हैं तक्बीरें
उकताए हैं शायद कुछ क़ैदी और तोड़ रहे हैं ज़ंजीरें
दीवारों के नीचे आ आ कर यूँ जम्अ हुए हैं ज़िंदानी
सीनों में तलातुम बिजली का आँखों में झलकती शमशीरें
भूखों की नज़र में बिजली है तोपों के दहाने ठंडे हैं
तक़दीर के लब को जुम्बिश है दम तोड़ रही हैं तदबीरें
आँखों में गदा की सुर्ख़ी है बे-नूर है चेहरा सुल्ताँ का
तख़रीब ने परचम खोला है सज्दे में पड़ी हैं तामीरें
क्या उन को ख़बर थी ज़ेर-ओ-ज़बर रखते थे जो रूह-ए-मिल्लत को
उबलेंगे ज़मीं से मार-ए-सियह बरसेंगी फ़लक से शमशीरें
क्या उन को ख़बर थी सीनों से जो ख़ून चुराया करते थे
इक रोज़ इसी बे-रंगी से झलकेंगी हज़ारों तस्वीरें
क्या उन को ख़बर थी होंटों पर जो क़ुफ़्ल लगाया करते थे
इक रोज़ इसी ख़ामोशी से टपकेंगी दहकती तक़रीरें
संभलों कि वो ज़िंदाँ गूँज उठा झपटो कि वो क़ैदी छूट गए
उट्ठो कि वो बैठीं दीवारें दौड़ो कि वो टूटी ज़ंजीरें

  - Josh Malihabadi

Awaaz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Josh Malihabadi

As you were reading Shayari by Josh Malihabadi

Similar Writers

our suggestion based on Josh Malihabadi

Similar Moods

As you were reading Awaaz Shayari Shayari