mausam khushboo rang dhanak ke manzar saare us ke the | मौसम ख़ुशबू रंग धनक के मंज़र सारे उस के थे - Kahkashan Tabassum

mausam khushboo rang dhanak ke manzar saare us ke the
raat ki kaali chaaya meri chaand sitaare us ke the

beech samundar bakht hamaara saahil tak ye aata kab
mauj-e-hawa pe naam tha us ka door kinaare us ke the

sahmi sahmi goongi bahri ek gujariya meri thi
hanste gaate dhool udaate raaj-dulaare us ke the

ik chhoti si chat ki khaatir kya kya khwaab ganwa baithi
bhool gai ki eenten us ki mitti gaare us ke the

zanjeeron ke badle ab bhi gehne paati hoon jaise
sadiyon se ye jabr ke bandhan beech hamaare us ke the

kitni ajab taqseem tabassum karti hai ye duniya bhi
mera hissa zahar-e-halaahal amrit dhaare us ke the

मौसम ख़ुशबू रंग धनक के मंज़र सारे उस के थे
रात की काली छाया मेरी चाँद सितारे उस के थे

बीच समुंदर बख़्त हमारा साहिल तक ये आता कब
मौज-ए-हवा पे नाम था उस का दूर किनारे उस के थे

सहमी सहमी गूँगी बहरी एक गुजरिया मेरी थी
हँसते गाते धूल उड़ाते राज-दुलारे उस के थे

इक छोटी सी छत की ख़ातिर क्या क्या ख़्वाब गँवा बैठी
भूल गई कि ईंटें उस की मिट्टी गारे उस के थे

ज़ंजीरों के बदले अब भी गहने पाती हूँ जैसे
सदियों से ये जब्र के बंधन बीच हमारे उस के थे

कितनी अजब तक़्सीम 'तबस्सुम' करती है ये दुनिया भी
मेरा हिस्सा ज़हर-ए-हलाहल अमृत धारे उस के थे

- Kahkashan Tabassum
0 Likes

Violence Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kahkashan Tabassum

As you were reading Shayari by Kahkashan Tabassum

Similar Writers

our suggestion based on Kahkashan Tabassum

Similar Moods

As you were reading Violence Shayari Shayari